Girls Ke Liye Online Yoga Classes, 10 Saal Se Upar
Beti ke liye alag girls batch, female teacher Latika ke saath, ghar baithe live. Flexibility, sahi posture aur focus se shuru karke, jo girls taiyaar hon unke liye advanced asana bhi.
- 10 saal se upar
- Alag girls batch
- Female teacher
- Advanced asana bhi
- Mon–Fri · 4:00–4:50 pm
Latika · Standing splitYeh batch kiske liye hai
Un girls ke liye jo yoga seekhna chahti hain, aur un parents ke liye jo screen time ke beech kuch achha chahte hain.
- Shuruaat karne wali girlsPehli baar yoga? Basics, saans aur aasaan asana se shuruaat.
- Flexibility aur posturePadhai aur phone ke saath jhuki kamar aur akde kandhon par kaam.
- Focus aur saansPranayama aur dhyan ke chhote abhyas, jo padhai mein bhi kaam aate hain.
- Aage badhne wali girlsJo taiyaar hon unke liye advanced asana, Latika ki nigrani mein, step by step.
Batch kaise chalega
Booking parent karte hain; class beti live, camera on karke karti hai.
- Parent ka WhatsApp messageBeti ka naam aur umar batayein.
- Health formKoi chot, takleef ya doctor ki salah ho to yahan batayein.
- Starting callLatika beti ka level samajhti hain aur batati hain kahan se shuru karna hai.
- Live class, camera onChhota batch, taaki Latika har girl ka posture theek karwa sakein.
Girls ke liye bana
Teen cheezein ise general class se alag banati hain.
- Sirf girls, female teacherGirls ka alag batch, taaki class unki umar aur level ke hisaab se chale.
- Advanced asana, step by stepJo girls taiyaar hain unke liye, warm-up ke baad, Latika ki nazar mein.
- Focus aur saansChhote pranayama aur meditation jo padhai mein bhi madad karte hain.
Safety pehle
- Advanced asana sirf tab, jab body taiyaar ho, aur warm-up ke baad
- Koi zabardasti stretch nahi; dard ho to ruk jaana
- Sirf girls ka batch, female teacher
- Class ka link sirf parent ke WhatsApp par
Fees aur timings
Women batch jitni hi fees: ₹1,499 mahina, ya 12 hafte ke liye ₹3,999. Pehle 3 din free, card ki zaroorat nahi.
Apna 3-day free trial book karein
5 chhote steps. Latika aapko WhatsApp par message karengi. Abhi kuch pay nahi karna.
Latika ki free yoga guides

Ghar Par Yoga Kaise Shuru Karein: Beginners Ke Liye Pehle Hafte Ka Plan
Pehli baar yoga shuru kar rahi hain? Ghar par 7 din ka simple plan: roz 20 minute, kaun se asana, kya chahiye, aur woh galtiyan jo pehle hafte mein hoti hain.
Poora padhein →
Surya Namaskar Ke 12 Steps: Naam, Sahi Tarika, Saans aur Aam Galtiyan
Surya Namaskar ke 12 steps aasan bhasha mein: har step ka naam, kab saans lein aur chhodein, beginners ke liye tips aur woh galtiyan jo aksar hoti hain.
Poora padhein →
Anulom Vilom Kaise Karein: Sahi Tarika, Fayde aur Aam Galtiyan
Anulom Vilom pranayama step by step: kaise baithein, haath ki mudra, saans ka pattern, kitni der karein, fayde aur beginners ki aam galtiyan.
Poora padhein →Women ki online yoga class: aapke sawaal
Lagbhag 10 saal se upar ki girls. Starting call par Latika beti ka level dekh kar batati hain ki kahan se shuru karna hai.
Batch Mon–Fri shaam 4:00–4:50 baje hoga aur 4–5 girls ke judte hi shuru ho jaayega. Tab tak 3 din ki free trial aapke time par.
Girls ke liye alag batch ban raha hai, taaki class unki umar aur level ke hisaab se chale.
Haan. Mobile, tablet ya laptop, kisi se bhi. Bas phone aisi jagah rakhein jahan se aapki full body dikhe.
Haan, taaki aapke asanas correct karwaye ja sakein. Batch mein sirf women hoti hain aur teacher bhi woman hain. Class ko record, screenshot ya share karna mana hai, aur class shuru hone ke 10 minute baad entry band ho sakti hai.
Aaj hi pehla step lein
Pehle 3 din free. Achha lage, tabhi aage badhein.
3-Day Free Trial Book KareinAgla page3 Din Ka Free Trial →